SilentlyRoaringTigress (Memes)

Showing posts with label Hindi/Urdu poetry. Show all posts
Showing posts with label Hindi/Urdu poetry. Show all posts

Monday, July 23, 2018

कुछ बातें



यहां बादल गरज रहे हैं
तुम्हारे आने का पैगाम सुनकर
इस गर्मी में न पिघल जाओ
मैंने बरसात को बुलाया है।
कहने को अभी काफी कुछ है
बोहोत सी बातें तुमसे बोलनी हैं
इस पहली बारिश में हमें साथ
कईं बूंदे महसूस करनी है।
कुछ पल साथ बिताने के लिए
ये दिल न जाने कबसे बेबस है
यूँही आवाज़ कितनी सुनू अब तोह
उन आँखों मे खुद की जगह बनानी है।

Auldrin

Tuesday, August 29, 2017

Ehsaas


Wo neele aasman ki chhaanv
aur samundar ka kinara
khamoshi se bhara sama
akele hum, par koi hai yahan...
Wo paidon ki tehniyaan
jo shararat si kar rahi
apne wahan hone ka
humein ehsaas hai de rahi...
par main chup hun
aur nishabd tum
fir aisa kya hai
jo wo hain sun rahi
ye pani ki sarsarati lehrein
ya teri khamoshi
aur meri aahatein…
Jo ankhon me tere
ye anginat sawal hain
nam hothon par mere
ek raaz jaise chhipe
iss baiman hawa me bhi
ek awaaz hai
dhund unme lafzon ko tu mere...
Chahe kitni koshish kar lun
inhe tujhse chhupane ki
duniya ko fir bhi
hai khabar sahi
mai awari aur ye waqt bhi
iss shiddat ko aazmaake
naino me apne panha de...
Hai pta mere dil ko bhi
thag jane ki keemat
ye waqt laye barsaat ya andhi
bezaar main, rahungi yahin
bas yahin…

~©Auldrin❤

Monday, December 5, 2016

Teri bheegi palkon se waqif hun main

Wo din raat yun bin wajah ladna
Khamosh nigahon se baatein karna
Kashmkash se bhari jhuki nazrein
Teri bheegi palkon se tab bhi waqif thi main...
Aaj tera kandhe par sar rakhke manana
Udaas mann chhupaye haste reh jana
Mila hai ek sukoon un saanson mein
Teri bheegi palkon se ab bhi waqif hun main...
Zindagi ka koi khel ho ya imtihaan
Sikhana uss besabr dil ko intezaar
Na chhodengi kabhi sath meri yaadein
Teri bheegi palkon se wo sada waqif rahein...

VK©

Monday, August 29, 2016

4️⃣ Aaj hai ye shayrana andaaz

Ek behta dariya, 
kuch ashqon se
Ek bada samandar, 
bhara mohabbat se
Ek kore kaagaz par, 
tumhe jab yaad kiya
Fir unhi hawaaon ko salaam, 
jo le gayi tum tak paigaam mera...

VK©

Sunday, July 10, 2016

3️⃣ Ab firse jab baarish hogi...

Ab firse jab baarish hogi
Un boondon ke bich kahin
Teri aahatein bhi sang hongi
Bheegne par kya fikar kya sochna
Jab sardi ka ilaaj apne saath hi hoga

Ab firse jab baarish hogi
Zameen par girte pani ke saath
Hawaon me humari deewangi judegi
Mitti ki khushboo jab rooh ko chhu legi
Keechad se latpat bhi khushi hi milegi

Ab firse jab baarish hogi
Jaise boondein milne par ek hoti
Waise humari saansein milengi
Ek hi dhun me hum do basenge
Ek hi pyaar me hum do sajenge

Ab firse jab baarish hogi
Ek tu ek main aur kuch dhadkane
Aur fir hum, sirf hum rahenge...

Tuesday, June 28, 2016

2️⃣ Aaj mera shayari mood😃


Gharwalon ka mashwara tha
Dono mile, jaan pehchaan karlen
Par uss pehli mulaqaat ki sadaqat
Aankhein kya ladi, haya hi kho gayi
Hawa me dilkashi si chhaayi
Dono ki nigaahein jab takrayi
Wo jo ab tak bhaag raha tha 
Na chahte hue unme kaid ho gya
Aur jiske pas mauka tha
Wo chahkar bhi faraar na ho saki
Wafa toh do tarfa honi hi thi
Par wo mohabbat hi kya
Jisme koi ilhaam na ho
Ab teen dafa khane ka shauk kahan
Jo roza rakhke iftaar me tha maza 
Ishq se badhkar junoon tha sawaar
Insaan nhi, khuda ki razamandi thi unpar
Ek taraf janaab khayalon me mashroof 
Rehte the bekhabar iss qadar
Wo uski khushboo thi
Ya uski aqeedat, jo jaan lene lagi
Dusri aur wo dua karti rahi
Usse ab mile wahi, aur koi nahi
Apni hadd se wakif the dono
Faasley kam hone lage
Par jo bhi tha unke darmiyaan
Sab kuch ek daayre me
Qasoor kisi ka nahi, apne sapne
Khud jeene ki khwahish rakhte the
Bas duniya ke rasmo rivaazon me
Unse ho gya tha gunaah jaise
Itni shiddat dekhkar hui sabko hairani
Aur logon ko manzoor nahi hua
Isliye wo bhi bankar reh gaye ek kahani...

Sunday, June 26, 2016

1️⃣ Aaj mera shayari mood😃

Kuch ankahe se lafz
Hothon par hain ruke
Waqt badal raha hai 
Kuch wahin tham gaye
Wo ajnabi si ek kashish
Jo hai unke darmiyaan
Waqif hote hue bhi
Ban rahe hain anjaan 
Jo faasley hain bhad rahe
Khamoshi me tabdeel na ho
Khuddari me is qadar mashruf
Ke fir yaadein bhi naseeb na ho...

Notice

Running busy work wise doesn't allow much time for the handling of the blog. Hope to see you guys soon but till then you can always re...