Gharwalon ka mashwara tha
Dono mile, jaan pehchaan karlen
Par uss pehli mulaqaat ki sadaqat
Aankhein kya ladi, haya hi kho gayi
Hawa me dilkashi si chhaayi
Dono ki nigaahein jab takrayi
Wo jo ab tak bhaag raha tha
Na chahte hue unme kaid ho gya
Aur jiske pas mauka tha
Wo chahkar bhi faraar na ho saki
Wafa toh do tarfa honi hi thi
Par wo mohabbat hi kya
Jisme koi ilhaam na ho
Ab teen dafa khane ka shauk kahan
Jo roza rakhke iftaar me tha maza
Ishq se badhkar junoon tha sawaar
Insaan nhi, khuda ki razamandi thi unpar
Ek taraf janaab khayalon me mashroof
Rehte the bekhabar iss qadar
Wo uski khushboo thi
Ya uski aqeedat, jo jaan lene lagi
Dusri aur wo dua karti rahi
Usse ab mile wahi, aur koi nahi
Apni hadd se wakif the dono
Faasley kam hone lage
Par jo bhi tha unke darmiyaan
Sab kuch ek daayre me
Qasoor kisi ka nahi, apne sapne
Khud jeene ki khwahish rakhte the
Bas duniya ke rasmo rivaazon me
Unse ho gya tha gunaah jaise
Itni shiddat dekhkar hui sabko hairani
Aur logon ko manzoor nahi hua
Isliye wo bhi bankar reh gaye ek kahani...
No comments:
Post a Comment