Ab firse jab baarish hogi
Un boondon ke bich kahin
Teri aahatein bhi sang hongi
Bheegne par kya fikar kya sochna
Jab sardi ka ilaaj apne saath hi hoga
Ab firse jab baarish hogi
Zameen par girte pani ke saath
Hawaon me humari deewangi judegi
Mitti ki khushboo jab rooh ko chhu legi
Keechad se latpat bhi khushi hi milegi
Ab firse jab baarish hogi
Jaise boondein milne par ek hoti
Waise humari saansein milengi
Ek hi dhun me hum do basenge
Ek hi pyaar me hum do sajenge
Ab firse jab baarish hogi
Ek tu ek main aur kuch dhadkane
Aur fir hum, sirf hum rahenge...
Un boondon ke bich kahin
Teri aahatein bhi sang hongi
Bheegne par kya fikar kya sochna
Jab sardi ka ilaaj apne saath hi hoga
Ab firse jab baarish hogi
Zameen par girte pani ke saath
Hawaon me humari deewangi judegi
Mitti ki khushboo jab rooh ko chhu legi
Keechad se latpat bhi khushi hi milegi
Ab firse jab baarish hogi
Jaise boondein milne par ek hoti
Waise humari saansein milengi
Ek hi dhun me hum do basenge
Ek hi pyaar me hum do sajenge
Ab firse jab baarish hogi
Ek tu ek main aur kuch dhadkane
Aur fir hum, sirf hum rahenge...
No comments:
Post a Comment