aur samundar ka kinara
khamoshi se bhara sama
akele hum, par koi hai yahan...
Wo paidon ki tehniyaan
jo shararat si kar rahi
apne wahan hone ka
humein ehsaas hai de rahi...
par main chup hun
aur nishabd tum
fir aisa kya hai
jo wo hain sun rahi
ye pani ki sarsarati lehrein
ya teri khamoshi
aur meri aahatein…
Jo ankhon me tere
ye anginat sawal hain
nam hothon par mere
ek raaz jaise chhipe
iss baiman hawa me bhi
ek awaaz hai
dhund unme lafzon ko tu mere...
Chahe kitni koshish kar lun
inhe tujhse chhupane ki
duniya ko fir bhi
hai khabar sahi
mai awari aur ye waqt bhi
iss shiddat ko aazmaake
naino me apne panha de...
Hai pta mere dil ko bhi
thag jane ki keemat
ye waqt laye barsaat ya andhi
bezaar main, rahungi yahin
bas yahin…
~©Auldrin❤
No comments:
Post a Comment